Friday, December 26, 2008

deep Jalaya hai Maan ka

Neeras ghata parihas udati mere payase jeevan ka |
Dhundhli chaya tan man ujla, saar hai kya fir darpan ka ||
Smritiyon ke aangan mai, khoya pyar wo bachpan ka|
Dil mai khan-khan karta hai ek tuta tukda kangan ka||
Yatarth prem ka bhav yahi hai, bishaya nahi hai yeh tan ka|
Lekin aise sab bhavon main kab samye raha hai jan jan ka||
Aatibrashthi ki hai-hai, kya dosh nahi hai savan ka|
Tumse duri ki trashna ne, fir deep jalaya hai maan ka||

No comments:

Post a Comment