Friday, December 26, 2008

deep Jalaya hai Maan ka

Neeras ghata parihas udati mere payase jeevan ka |
Dhundhli chaya tan man ujla, saar hai kya fir darpan ka ||
Smritiyon ke aangan mai, khoya pyar wo bachpan ka|
Dil mai khan-khan karta hai ek tuta tukda kangan ka||
Yatarth prem ka bhav yahi hai, bishaya nahi hai yeh tan ka|
Lekin aise sab bhavon main kab samye raha hai jan jan ka||
Aatibrashthi ki hai-hai, kya dosh nahi hai savan ka|
Tumse duri ki trashna ne, fir deep jalaya hai maan ka||

Thursday, December 11, 2008

Tumhare ... Baad ......

Hain Kitne akele aaj tak hum tumhare baad |
Is Dil se nahi gaya bahi gum tumhare baad ||

Be-Rang ho gayin Ghar ki Dar-o-deewar |
Veeranio ne Lahara diye parchum tumhare baad ||

Kyon ubharne nahi deta mere naksh ko Ujala |
Rafta -Rafta ho gaya to kam tumhare baad ||

Keenchti hui saans sa gujra UDASH din |
Or Raat bhi Be- Chain hai humdum tumhare baad||